Sunday 13 March 2016

GAS KI SAMASYA



TIPS-1

agar pet me gas jyada ban rahi ho to khana khane 
ke baad 125 gm. methi me 2 gram ajwain aur 1/2
gm. kala namak milakar khane se gas ki samasya 
se aaram milega.


TIPS-2

4 munakke ke beej nikalkar 1 lehsun ki jawa chhilkar 
munakke ke beech me rakhkar chabakar nigal jaye.
isse pet me ruki hui gas fauran nikal jaati hai.


TIPS-3
2 gm. ajwain, 1/2 gm. namak ko lekar chabakar kha 
le. isse pet ka dard aur gas theek hota hai.

ACIDITY KI SAMASYA

5 chammach sukha dhaniya 10 chammach mishri
ko milakar bareek pees le aur kisi air tight jar me rakh le 
aur acidity ki samasya ho to 1 chammach kha le.


KHATTI DAKAAR KI SAMASYA


thoda sa jeera lekar usse tave par bhoon le. jab thanda ho jaye to isko pees le.ab 1 chammach jeera powder me 1 chammach shahad milakar khane se pehle kha liya kare. jab tak aapko khatti dakar ki 
pareshani hai le sakte hai.


GAS AUR BADHAJMI

1 chammach ajwain,1 chammach saunf aur 1 chammach jeere ko
sukha le aur isko peeskar powder bana le. khana khane se pehle 
shahad ke saath iska sevan kare. 

1 comment:

  1. Ajwain is a good remedy to reduce acidity but to get fast relief then you must try herbal organic acidity relief medicine.

    ReplyDelete