Tuesday, 1 March 2016

BALON KI DEKHBHAL (GANJAPAN/DANDRUF KA ILAJ ) IN HINDI

DANDRUF KA UPCHAR-

30 gram methi ke dane raat bhar paani me bhigo kar rakhen.subah uska paste bana kar baalon ki jadon me lagaye.
adhe ghante baad aamla shikakai se dho len.ye pryog maheene me do teen baar karen.dandruf door ho jayegi.

TIP-2-
100 ml nariyal ke tel mein 20 gm neem ke beejon ka powder mila de.Is tel ko hafte mein 2 baar lagaye.Raat ko sone se pahle achche se baalon ki jadon mein lagakar malish kare.Dandruf door ho jayega.

GANJAPAN-

-Neem ke patte 20 gram.
Ber ke patte 20 gram.
Dono ko pees kar iska lep bana le.
Is lep ko aadhe ghante ganje sir par laga 
kar rahne de.Phir baal dho le.Ye pryog 
2-3 mahine karne se labh hoga.










DULL BAALON KE LIYE-
Aadha cup soda (BAKING POWDER) le 
kar thode se paani mein gaadha lep mila 
kar apne baalon par lagaye.10-15 minute 
baad sir dho le.Isse aapke baal sundar aur 
chamkile ho jayenge.



0 comments:

Post a Comment