Tuesday, 22 March 2016

HALDI KE FAYDE


haldi bahut gurkari hoti hai. iske anek fayde hai lekin agar haldi ko doodh ke saath liya jaye to iska combination bahut faydemand hota hai aur anek bimariyon me labhkari hota hai jaise-



ASTHAMA ME FAYDA

Garam doodh ke saath haldi lene se dama ( ashtama ) , cough aur sinus jaisi samasyaon me araam milta hai. isse bacterial aur viral infection se ladne me madad milti hai.


WAJAN GHATANE ME FAYDA ( LOSE WEIGHT)

Garam doodh ke saath haldi peene se badan me atirikt charbi( fat ) ghat ti hai. isme maujood calcium aur mineral sehat mand tarike se wajan ghatane me madad karte hai.


NEEND ME FAYDA

Haldi me amino acid hota hai. doodh ke saath ise peene se neend achhi aati hai. sone se 30 minute pehle garam doodh ke saath haldi ko pee lein.


MAJBOOT HADDIYAN ( STRONG BONES )

Doodh  me calcium hota hai aur haldi me antioxidents bhar pur matra me hote hai.
isliye haldi aur doodh peene se haddiyan majboot hoti hai.


KHOON KO SAAF KARNE ME FAYDA( BLOOD PURIFIER)

Haldi aur doodh peene se khoon bhi saaf hota hai. ye blood se toxins dur karta hai
aur lever ko bhi saaf karta hai. Pet se judi kai bimariyon me haldi aur doodh 
fayda karta hai.  

0 comments:

Post a Comment