
TIP-1
gulab jal, glycerine aur nimbu ke ras ko achhe se milakar rakh le aur isse hatho par achhi se malish kare. haath naram aur mulayam ho jate hai.
TIP -2
shahad aur santre ke juice ko barabar matra me milakar haatho par lagaye. isse bhi haath naram aur mulayam ho jate hai.

TIP -3
1 katori besan me kuchh boonde sarso ke tel ki aur thoda doodh milakar ghol tayyar kare.
is ghol ko poore hatho par lagaye. 20 minute baad ragad kar haath ko dho le. haath naram honge.

nimbu aur kheere ke ras ko barabar matra me milakar kohniyo par 15-20 minute tak laga rehne de. isse kohni ka kalapan dur hota hai.
TIP -5
1 chammach shahad
1 ande ki safedi
1 chammach glycerin
2 chammach jau ka atta
in sabko milakar pest bana le aur isse poore haatho par lagaye.

TIP -6
olive oil se 10-15 minute tak apne hatho ki massag kare.iska prayog ek hafte tak lagatar
karne se haath sunder aur mulayam hote hai.
0 comments:
Post a Comment