
kale chane sehat ke liye bahut fayedemand hote hai. isme kafi matra me carbohydrate
,protien, fibre,calcium, iron aur vitamin paye jate hai.
lekin sabse jyada fayda ankurit chane se hota hai.

bheege hue chane se pani alag karke usme namak,adrak aur jeera mix karke khane
se kabz ki samasya se chhutkara milta hai. saath me iska paani bhi pee lein.
ye bhi faydemand hota hai.kyuki chane ka fibre digestion ke liye fayedemand hota hai.
PATHRI ME FAYDA
raat bhar bheege hue kaale chane me thoda sa shahad milakar khaye. daily ise khane se pathri hone ki sambhavna kam
hoti hai aur pathri asani se nikal jaati hai.
SKIN ME FAYDA

isko khane se daad khaj khujli jaisi samasyao se bhi chhutkara milta hai.
DIABETES ME FAYDA
chane me bahut taqat hoti hai. ye shareer se glucose ko kam karta hai. jisse
diabeties ke patient ko fayda pahuchta hai.
COUGH ME FAYDA
bhune hue chano ko raat me sote samay chabakar khaye aur iske upar se halka
gunguna doodh pee lein. isse cough me rahat milti hai.
0 comments:
Post a Comment