Saturday, 19 March 2016

LEHSUN KE FAYDE


lehsun khane ke anek fayde hai. khali pet me lehsun khane se kai bimariyo me aram milta haiye ek natural antibiotic ke tarah kam karta hai. wajan ghatane se lekar diabetes tak ki kai bimariyon me fayde hi fayde hai.


BLOOD PRESSURE ME FAYDA

HIGH BP m kachcha lehsun khane se bahut araam milta hai. lehsun khane se hiper tention se releif milta hai aur ye blood circulation ko bhi sahi karta  hai.


DIARRHEA ME FAYDA

poore din me lehsun ki poori ghanth dheere dheere khane se diarrhea me fayda hota hai.agar isko kachcha na kha paye to isko halka sa bhoon kar khaye.


BHOOK BADAY

jin logo ko bhook nahi lagti hai wo lehsun ka sevan kare 
kyuki lehsun digestion ko theek karta hai. jisse bhook niyamit 
roop se lagti hai.


ASTHAMA ME FAYDAlehsun saans lene ki prakriya me bhi fayda karta hai. lehsun ke prayog se asthama, tb, pneumonia, jukam aur kabz jaisi bimariyon me bahut araam deta hai.

0 comments:

Post a Comment