Aamle ke murabbe ke alawa kai aur sabziyon aur falon ke
murabbe banaye jate hai, Jo sehat ke liye bahut
faydemand hai.

ADRAK KA MURABBA
Adrak ke murabbe se muh ka swaad theek hota hai,
Dama ki bimari mein isko khane se bahut fayda milta hai.
BADAM KA MURABBA
Ye murabba badam ki giriyon ko shahad mein daalkar banaya jata hai,
Isse khansi,cough jaisi bimaariyon se bahut fayda hota hai.
AAMLE KA MURABBA

Aamle ke murabbe mein vitamin C,iron aur fibre hota hai.
Aamle ka murabba baalon,aankhon aur pet ki bimariyon
mein fayda karta hai.
SEB KA MURABBA

Seb ke murabbe mein phosphorous,
iron,
protien,
calcium,
carbohydrate,
vitamin B aur
vitamin C bharpur matra mein hota hai.
Jinhe raat ko neend nahi aati hai wo sone se pahle thoda seb ka murabba khaye,
Bahut fayda karta hai.

GAJAR KA MURABBA
Gajar mein vitamin E aur iron hota ha,
Gajar ka murabba cough nikaalne mein,
dimaag ko mazboot karne aur depression ko door karne mein fayda karta hai.
PAPITE KA MURABBA
Papite mein fibre,
Vitamin A,
Vitamin C,
Aur antioxidants hote hai,
Ye cholestrol ko kam karne mein madad karta hai,
Aur pathri ko bhi galata hai,
Aur lakwa wa daaton ke rogon mein bhi fayde mand hai.
0 comments:
Post a Comment