Tuesday 22 March 2016

SIR DARD KE UPAYE


Aajkal ki bhag daud wali jindagi me har insan bagut busy ho gaya hai. aaj ham apne khan pan se lekar apni care tak ke liye bilkul bhi time nahi nikal paate hai. jiski wajah se ham sab bahut tention aur stress me rehte hai. aaj ham kuchh gharelu ilaj ke baare me aapko jankari dene ja rahe hai.

DAALCHINI 

Daalchini ke powder me paani milakar pest bana le. is pest ko maathe par lagaye aur sookhne par dho de. aisa kai baar karne par sir dard me fayda hoga.


KHEERA
Kheere ko katkar soonghne se bhi sir dard me araam milta hai.



MULETHI

Mulethi ko peeskar bareek powder bana lein. aur is powder ko soonghne se bhi sir dard me
araam milta hai.


LAUNG AUR NAMAK

Laung ko pees kar isme namak mila le. phir isse doodh me milakar pee le.
namak me higrascopik paya jata hai. jisse ye sir me maujood sabhi drav pdarth ko sookh leta hai. jisse sir dard me araam milta hai.

NARIYAL KA TEL

Nariyal ke tel se sir me 15-20 min. tak malish karne se sir dard me fayeda pahunchta hai.


ADRAK/ SONTH

Adrak ya sonth ka ek chammach powder paani me milakar halka garam karle. phir isse maathe par lagaye. isse sir dard me araam milega.

0 comments:

Post a Comment