Tuesday, 1 March 2016

PET DARD,ACIDITY,DIGESTION KA GHARELU ILAJ ( STOMACH DISEASES )

ACIDITY


pet ki bimariyo me se acidity aaj jyadatar logo ki samsaya bani hui hai.

UPCHAR

 ajwain aur jeera barabar quantity me milakar kar sath me bhoon le.fir isko pani me ubalkar isko chhan le aur is pani me swad ke anusar sugar milakar rakh le aur isko peete rahe. Acidity se araam milega.


GAS KI SAMASYA 

agar aap ke pet me gas ban rahi hai ya pet phool raha hai to thodhi si heeng ko lekar garm paani me ghol len phir iska lep bana len aur nabhi par laga len aur kuch hi samay me aap ko gas se aaram mil jayega


PET KI GARMI AUR DIGESTION KA ILAAJ-

Agar aap pet ki garmi aur haazma sahi na hone se pareshan hain to aap rozana apne khaane mein dahi ka istemaal kare.Dahi ke lagatar upyog se aapko gas,kabz aur digestion jaise bimaariyon se chutkara pa sakte hain.



PET DARD KE LIYE-



2 ya 3 badi ilaichi ko pis kar shahad mein milakar isko khane se pet dard mein aaram milta hai.


PET DARD KE LIYE

1 chamach saunf,
1 chamach ajwain ko thode se paani mein milakar pees lein,
Aur usme 1 chutki namak milaye,
Ab ise garam-garam piye,
Dard theek ho jayega.


0 comments:

Post a Comment