Monday, 4 April 2016

GARAM PAANI KE FAYDE


SKIN KO FAYDA

Agar skin me glow lana ho to rozana subah aur shaam ko garam-garam paani pijiye. Isse aapki skin me chamak Aa jayegi,
Aur kai tarah ki skin problem bhi door ho jayegi.


BHOOK BADHAYE

Jin logon ko bhook nahi lagti hai,
Unhe ek glass garam paani me kali mirch,
Namak aur nimboo ka ras milakar peene se bhook lagne lagti hai.


MUHANSO KI SAMASYA


Muhanso se bachne ke liye,
Subah khali pet garam paani pijiye,
Isse muhanso se chhutkara mil jayega.

PET SAAF KARE
Garam paani peene se pet bhi saaf rahta hai,
Jisse pachan tantra theek rahta hai aur kabz ki problem nahi hoti hai
aur pet dard me bhi aaram milta hai.


BP ME FAYDA
Khoon ki gati tez hone me yani blood circulation ko badhane mein,
Garam paani fayda karta hai.


JHURRIYON MEIN FAYDA
Tala bhuna khana khane se sharir ke andar vishaile padarth jama ho jate hai, Jo hamare sharir ko kamzor kar dete hai Aur budhapa jaldi Aa jata hai. Roz subha garam paani peene se pet ke andar ke vishayle tatvo ko kam karta hai Aur jhurriyon ko kam katra hai.

WAZAN KAM KARNE MEIN FAYDA

Subha khaali pet ek glass garam paani mein nimboo dalkar peene se,
Wazan kam hota hai.

0 comments:

Post a Comment