Sunday, 10 April 2016

GREEN TEA KE FAYDE


WAZAN KAM KARNE KE LIYE
agar apko wazan kam karna hai to aap green tea peena
shuru kar dein .kyonki green tea me antioxidant hote hai jo body ke fat ko kam karte hai. green tea se fat hi nhi balki metabolizm bhi majboot hota hai.



STRESS KAM KARTI HAI
Green tea peene se apko stress me bhi aaram milta hai. iske 
alawa chai ki sukhi pattiyon ko takiye ke neeche rakh kar sone 
se sir ke dard me bhi aaram milta hai. chai patti ki mahak dimag 
ko sukoon deti hai.


AANKHON KI SUJAN ME FAYDA
Do tea bag lekar usse paani se geela karke apni dono aankhon par rakhiye isse aapki aankhon ki jalan aur sujan dono hi kam hogi.




SKIN PROTECTER 
Green tea me anti antigen bhi hote hai jo hamari skin ko fayda karte hai. green tea ko lein aur usme thoda white sugar mila lein 
aur thoda paani ise achhe se milakar face par massage kare isse 
aapki skin soft ho jayegi.


SUNBURN SE BACHAYE
sanburn ko door karne ke liye nahane ke paani me green tea daalkar aadha ghanta rahne dein phir is paani se nahaye. isse is samsya se chhutkara milega.









BAALON KE LIYE FAYDEMAND

chai ki patti ko ubaal kar thanda hone par baalon me lagaye. ye ek achhe conditioner ka kaam karti hai. ye baalon ko natural tareeke se naurish karti hai.

0 comments:

Post a Comment