
JAWAN RAKHE
Ek cup kiwi ke joos me 164 miligram vitamin c hota hai. vitamin c free oxygen radicals se hone wale dna damage se bhi bachata hai. vitamin e aur antioxidant skin cells ki immunity power badhte hai. isse hamari skin bahut samay tak jawan rahti hai.
SHAREER KO TAQAT DE
kiwi dengue me bhi faydemand hota hai. jab dengue me platlets kam hone lagte hai to ye unhe rokne me madad karta hai. kiwi se shareer ko takat bhi milti hai.
PET KO HEALTHY RAKHE
Kiwi me maujood fiber pet ko fit rakhta hai kiwi kabz ki bimari me bahut faydemand hota hai.
AANKHO KA FAYDA(GOOD FOR EYES)
Kiwi me maujood antioxidant aur vitamin c ankhon (eyes ) ko lambe samye tak damage hone se bachate hai.
DIABETES ME FAYDA
kiwi fruit ko use karne se khoon me glucose nahi badhta hai is liye kiwi diabetes, dil ki beemari aur wajan kam karne me bhi faydemand hai.
0 comments:
Post a Comment