Wednesday, 6 April 2016

MOONG KI DAL KE FAYDE

WAZAN KAM KARNE MEIN FAYDA

Ek Katori paki hui moong ki dal mein 100 se bhi kam calorie payi jati hai. Ek Katori moong ki dal khane se lambe waqt tak bhook nahi lagti. Raat ke khane mein ek Katori moong dal aur ek roti khaye. Ise khane se aapko bharpur takat milegi.
Ise khane se jald hi wazan kam hoga.


PASINA BHAGANE MEIN FAYDA
Moong ki dal ka lep lagane se pasina kam aata hai,
Is lep ko banane ke liye- Daal ko halka garam karke pees lein,
Phir is powder mein thoda sa paani milakar lep bana lein,
Ye lep poore sharir par lagaye.


BLOOD PRESSURE CONTROL KARNE MEIN FAYDA
Moong dal khane se blood pressure control karne mein madad 
milti hai. Moong ki dal khane se colestrol level bhi kam rahta hai,
Moong ki dal sharir mein maujood sodium ka prabhav kam kar 
deti hai. Jisse blood pressure nahi badhta. Jin logon ko dil ki 
problem rahti hai,Wo log moong ki dal ka sevan roz karen.


KAMZORI DOOR KARNE MEIN FAYDA
Moong ki dal khane se thyphoid ki bimari mein aaram milta hai,
Koi bhi bimari hone se sharir kamzor ho jata hai,
Moong ki dal khane se sharir ko takat milti hai,
Moong ki dal khane se sharir mein iron ki kami nahi hoti.

SKIN THEEK KARNE MEIN FAYDA
Moong ki dal khane se skin cancer jaisi bimari se bachav hota hai. Suraj ki kirno ya pradushan ke contact mein aane se skin ke free radicles chale jate hai. Isse skin ko nuksan hota hai,
Moong ki dal khane se body ko antioxidants milte hai.
Jo free radicles se ladkar skin cancer se hamko bachate hain.


0 comments:

Post a Comment