
Dahi khane ke anek fayde hai kyuki dahi mein calcium,vitamin D & B,lactobacillus aur protein bhari matra me paya jata hai. aaiye aapko dahi khane ke fayde batate hai---
Migrain(sirdard) Me Fayda
Dahi sirdard ya jinko migrain ka dard hota hai.unke liye faydemand
hai.subah khali pet dahi ko chini ke saath milakar daily khaye lagbhag
ek mahine tak. migrain ke dard me fayda hoga.
Digestion Me Fayda
Dahi pet ke liye bahut faydemand hota hai.ye liver ko theek rakhta hai.
dahi aanto aur pet ki garmi ko door karta hai. dahi digestion system ko
sahi karta hai.
Motapa Kam Kare
Dahi liver ke function ko theek karke metabolism improve karta hai.isse
motapa kam kiya ja sakta hai. dahi ko din ke khane me ek katori jaroor
lein isme pisa jeera aur namak mila kar khaye. ye indigestion ko bhi theek
karta hai.
Dil AUR High BP Me Fayda
Dahi khane se ek bahut bada fayda ye hai ki dahi cholestrol nahi badne
deta hai. jisse dil ki bimari ka khatra kam ho jata hai.Daily dahi ke sevan
se high BP bhi control rehta hai. dahi me lactobacillus aanto me achhe
bacteria banakar toxins ko nahi banne deta jisse hamari aante aur pet
saaf rehta hai aur blood circulation theek rehta hai.
Calcium Ki Kami Pura Kare

Bawasir Me Fayda
Jin logo ko bawasir ki bimari hai. wo chhachh me ajwain ko mila
kar piye. jaldi hi labh milta hai.
Dast Me Fayda
Dahi to hamare shareer ke liye faydemand hai hi lekin agar Dast
aa rahe ho dahi ke upar ka paani bhi faydemand mana jata hai.
DAHI KO KHANE ME SAVDHANIYA
- Dahi ko dinner (sham ka khana) me na khaye.
-Sardi, khansi aur asthama ke rogiyo ko dahi se parhez karna chahiye.
-Khatta dahi istimal na kare. taaze dahi ka prayog kare.
-Dahi ek nishchit matra me hi khaye.
-Dahi ko khane ke baad thoda aalasya aata hai. isliye student ko doophar aur sham ke paper ke time par parhej karna chahiye.
0 comments:
Post a Comment