Sunday, 22 May 2016

DAST AUR ULTI KA GHARELU ILAJ(HOME REMEDIES FOR LOOSE MOTION & WOMATING)

Dast Ka Gharelu Ilaz(Remedies For Loose Motion)
Aaj kal jindagi me sabhi apne kaam me itna busy hai ki apne khane peene ka samay bhi nirdharit nahi kiya hua hai.Sabhi ka routine hai ki week me kai baar bahar ka khana bhi khate hai. Garmi ke mausam me jyada bahar ka khana, der saver khana aur bhi kai karan aise hai jisme jara si laparwahi se Loose motion bahut aane lagte hai. ham yahan kuchh gharelu ilaj aapse share karne ja rahe hai----


Elaichi,Adrak, Pudina Se Loose Motion Ka Ilaj
3-4 elaichi ko pani me achhe se ubal lein. pudine ki paatiyo ka pest bana lein aur adrak ka pest bhi bana lein. dono ke pest ko elaichi ke pani me milakar 3-4 baar din me pilaye.

Ajwain Aur Kele Se Ilaj
ajwain ko thoda sa bhoon kar usko pees lein. ab is pise hue churan 
se pake kele se khaye. Loose motion me jaldi fayda hota hai.


Jeere Aur Saunf Se Loose Motion Ka IlAJ
Jeere aur saunf ko halka sa bhoon lein. phir isko pees lein aur iska 
churan bana lein. ab is churan ko shahad ke saath milakar din me 
kam se kam 4-5 baar chaate.  jald hi fayda hoga.

Pyaz Se Loose Motion Ka Ilaj
Pyaz bhi loose motion me fayda karti hai.pyaz ko pees kar usk a ras 
naabhi par laga lein. dast band ho jate hai.


NOTE- Dhyan rahe bahut jyada serious halt me ( dysentery ) ya pet 
ki koi aur bimari ho to doctor se jaroor consult kare. 
  
Ulti Ka Ilaj(Remedies Of Womating)
Agar kisi ko ulti (womating) aa rahi ho to uske liye pudine ki 5-6 patte 
aur pyaz ka beech wala hissa thoda sa lekar indono ko ek kapde pe rakh 
kar  kisi bhari cheej se kuchal kar ras nikal lein. mariz ko pilate hi fayda hoga.


0 comments:

Post a Comment