
Garmi Se Hone Wali Bimariyan
1-Loo lagna
2-Ghabrahat hona
3-paani ki kami hona
4-Chakkar aana
5-Ulti dast aana
6-Naak se khoon nikalna (nakseer )
Garmi Aur Loo Se Kaise Bache

2-Garmi me ghar se bahar nange sir na nikle. ghar se chhata
(umbrella ), cap, koi kapda sir par daalkar hi nikle.
3-Ghar se nikalne se pehle paani,sharbat aadi peekar hi nikle.
4-Cooler ya AC ki thandi hawa se fauran bahar na jaye.
5-Garmi me cotton ke kapde hi jyada se jyada pehne.
6-Garmi me bharpet khana khakar bahar na nikle aur halka khana khaye.
7-Khane me dahi ka istimal jyada kare.
8-Garmi me khane me pyaz ka istimal bhi kare.
9-Dhoop se fauran ghar aakar thanda pani ya sharbat na piye.
10-Dhoop se fauran ghar aakar AC ya Cooler ke samne na baithe.
11-Garmi me jyada se jyada pani peete rahe.
12-Garmi me liquid jyada se jyada lein jaise-aampana, bel ka
sharbat,shikanji khas ka sharbat aadi.
13-Garmi me jyada se jyada tarbooz, kharbooza, kheera, kakdi
aadi ka sevan kare. ye shareer me pani ki kami ko poora karta hai.
14-Garmiyon me dhoop se fauran ghar aakar nahana nahi chahiye.
15-Garmiyo me jyada tali aur chikni cheeje nahi khana chahiye.
0 comments:
Post a Comment