
Skin Me Fayda (Benefit For Skin )
Kharbooze me vitamin C,E,A & K, potassium, Folic acid, folates aadihota hai jo skin ko healthy rakhne ke saath saath
chamakdar aur komal bhi banata hai.iske liye aapko kharbooze
ka sevan daily karna chahiye.
Digestion Me Kharbooze Se Fayda
Kharbooze me kaafi matra me fibre aur paani hota hai. jo khane
ko digest karne me madad karta hai.
Constipation Aur Acidity Me Fayda
Kharbooze me kafi matra me pani aur Fibre hota hai. Jo shareer
me pani ki kami ke saath constipation aur acidity me bhi fayda
karta hai. garmiyo me khana khane ke baad kharbooza khane
se isme fayda hota hai.
Ankhon Ke Liye Faydemand
Kharbooza vitamin bita-kerotin ke roop me vitamin A deta hai. jo
aankhon ke liye faydemand hai.
Wajan Kam Karne Me Faydemand
Kharbooze me kaafi kam matra me calorie aur sugar maujood hoti
hai. isliye kharbooze ke sevan se wajan bhi kam hota hai.
Tanaav Ko Door Kare
Aap agar aksar tanaav me rehte hai to garmiyon me kharbooza jaroor
khaye kyuki kharbooze me kaafi matra me potassium paya jata hai.
Gathiya Me Fayda
Jin logo ko gathiya ki bimari hai. wo log agar kharbooze me neembu
dalkar khaye to isse ghatiya ke rog me bhi araam milta hai.
Energy Deta Hai
Kharbooze me vitamin B paya jata hai. vitamin B shareer me energy
badane me madad karta hai. isliye kharbooze ka sevan khoob kare.
Lung Cancer Me Fayda
Kharbooza lung cancer se shareer ki raksha karne me madad karta hai.
isme maujood vitamin C aur bita-kerotin milkar cancer rokne me sahayak
hote hai.
Healthy Kidney Ke Liye
Kharbooza khane se kidney healthy rehti hai. ye ek antioxidant ke roop
me vitamin ka achha srot hai.
0 comments:
Post a Comment