Tuesday, 31 May 2016

LAUKI KE FAYDE (BENEFIT OF GOURD ) IN HINDI

1-EXERCISE KE BAAD PEENA FAYDEMAND
Exercise k baad protein shake ki jagah lauki ka juice piye lauki ke juice me maujood natural sugar glycogen ke istar ko bnaye rakhti hai aur workout ke dauraan shareer me carbohydrate ki kami ko poora karti hai. isme maujood protein maashpeshiyo ko mazboot karta hai...



2-WAZAN GHATANE ME FAYDEMAND
Lauki ke juice me calorie or far bahut kam hota hai. isliye isko peene se wazan ghat'ta hai,,,Jo log wazan kam karna chahte hai unhe lauki ka juice peena chahiye....



3-SUNTAN (DHOOP SE KALA) SE CHUTKARA DILAYE
Agar suntan ki samasya hai to lauki ka juice lagaye iske natural 
bleaching tatva tan tawcha ko light karte hai aur ye ek achha 
moisturizer bhi hai......



4-PESHAB KI JALAN ME FAYDEMAND
Agar urine ke dauraan jalan ya dard hota hai to subah khali pet lauki ka juice piye,,,,Lauki ke juice se Milne wali thandak acid ke asar ko kam karti hai.....



5-KABZ ME FAYDA
Agar apko kabz ki shikayat rehti hai to rozana subah lauki ka juice piye kabz ki samasya se chutkara mil jayega......

0 comments:

Post a Comment