Wednesday, 25 May 2016

LICHI KE FAYDE (BENEFIT OF LICHI) IN HINDI

Garmi is waqt bahut jabardast tarike se pad rahi hai. aise me bazar me kai tarah ke phal bik rahe hai aur  usi me ek phal hai LICHI.Lichi khane me swadist to hoti hai sath hi ye sehat ke liye bhi bahut faydemand hai. Lichi me corbohydrates, vitamin C,A aur  B complex, potassium, calcium,magnesium,phosphorus,iron aadi paye jate hai. jo hamare shareer ke liye bahut faydemand hai.aaiye jante hai ki Lichi khane se kya fayde hote hai-


Cancer Ke Cell Ko badne Se Rokti Hai
Lichi me vitamin C,flavonoids aur curcitin jaise tatv bhari matra 
me lichi me paye jate hai. jo cancer se ladne me spl. breast cancer 
se ladne bhi madad karte hai. lichi ko hame daily istimal karna 
chahiye jisse ye apna fayda dikha paye.


Digestion Me Fayda
Lichi me fibre ki kafi matra hoti hai. jo aanto ki bimariyo se chhutkara dilati hai. lichi khane se pet me jalan aur hajme ki shikayat bhi door hoti hai. lichi khane se bhook bhi sahi se lagti hai.



Skin ke Glow Ko Badati Hai.
Lichi me vitamin C aur nutrients ki matra kafi hoti hai. jisse aapki skin healthy aur glow karne lagti hai.



Haddiyo Ko Taqat Deti Hai
Lichi hamare shareer ki haddiyo ko bhi bahut taqat deti hai.Lichi me 
bharpoor matra me phosphorus aur magnesium paya jata hai. jo 
haddiyon ko majboot banata hai.



Yaddasht Me Fayda
lichi khane ka ek aur fayda ye bhi hai ki lichi agar teeno time khayi 
jaye to yaddasht ki samasya me bhi fayda hota hai.



Heart Disease Me Fayda
lichi khane se jin logo ki dil ki dhadkan tez dhadakti ho ya unki saans 
jaldi chad jati hai. unlogo ko dono samay lichi ka juice pina chahiye. 

0 comments:

Post a Comment