
Jhaiyon me fayda
Masoor ki daal ko maheen pees lein aur iske powder me ghee aur doodh mila lein. iska lep chehre par ek saptah tak lagaye. jhaiyon me bahut fayda hota hai.
Daant Se Judi Bimariyon Me Fayda(Benefit In Dental Disease)
Masoor ki Daal ko jalakar uski raakh bana lein. is raakh ko daanto
par ungli se ragre. isse daanto ke sabhi rog door hote hai.
Gale Ke Dard Me Fayda (Benefit In Throat Swelling & Pain)
Masoor Ki daal ke ped ke patto ko lekar uska kada bana lein. is
kaade se garara karne par gale ki sujan aur dard me aaram milta hai.
Aanto ki Bimariyo Me Fayda(Benefit in intestines Disease)
Masoor ki daal pet se judi bimariyo me bhi bahut fayda karti hai.
masoor ki daal ka soup bana lein aur iska sevan kare. isse
aanto(intestines ) se judi bimariyo me fayda hota hai.
masoor ki daal ka sevan karne se digestion bhi theek rehta hai.
Jakham Me Fayda
Masoor ki daal ko jalakar uski rakh bana lein. is raakh me
bhains ka doodh milakar subah sham jakham par lagane se
jakham jaldi bharta hai.
Khoon Ki Kami Ko Poora Karta Hai
Masoor ki daal ka istimal karne se shareer me khoon(blood)
ki kami ko poora karta hai aur sharirik durbalta bhi door hoti hai.
0 comments:
Post a Comment