Sunday, 29 May 2016

PAAN KE PATTE KE FAYDE (BENEFIT OF BETEL) IN HINDI

Muh Ke Liye
Jin logo ke muh se badbu aati hai un logo ke liye paan faydemand hota hai .paan khane se laar me ascorbic acid ka star samanya bana rahta hai jiski wajah se muh ki bahut sari bimariyan door hoti hai.



Thakaan Door Kare
Pan ke thode paate aur shahad lein,
Ise achche se pees lein,
Ise khane se thakawat door hoti hai.
Agar aapko zukaam hai to pan mein laung dalkar khaye,
Isse aapko fayeda milega.



Motapa Kam Kare
Pan ke patte mein kali mirch ke 2-3 daane dalkar kha lein,
8-10 hafte tak lagatar khane se motapa kam hota hai.
Kaali mirch sharir se peshab aur pasine ko nikaalti hai,
Isse shareer ki gandagi nikal jati hai.



Sir Dard Mein Fayda
Pan ke patte ka paste bana kar mathe par lagane se sir 
dard mein aaram milta hai. Pan mein maujod analgesic gun 
sir dard mein bahut fayedemand hota hai.


Chot Lagne Par
Chot lagne par pan ke patte ka sevan karne se ghav jaldi 
bhar jata hai. Agar mooh mein sujan ya masudo mein ganth 
ho to pan ka istemal bahut faydemand hota hai.

0 comments:

Post a Comment