Saturday, 7 May 2016

Tarbooz Ke Fayde ( Watermelon )



Tarbooz garmiyon me bahut hi faydemand fruits hai ye bahut hi tasty aur pyas bujhane wala phal hai isme bahut sare poshak tatva hote hai jo hamari sehat ke  liye bahut faydemand hai isme bahut sare vitamins' protein,calcium minerals ,carbohydrate,potasium,magnesium,aur phosphorus bhi hote hai iske alawa bahut sare enzume,organic acid aur natural sugar bhi hote hai is liye tarbooz hamari sehat ke liye bahut hi achha fruits hai.


Shareer Me Pani Ki Kami Ko Door Kare
Tarbooz ek aisa phal hai jisme pani ki matra sabse adhik hoti 
hai rozana iske sean se shareer me pani ki kami door hoti hai.


Energy Badhata Hai
Tarbooz me moujood vitamin a aur vitamin b shareer me 
energy level ko badhye rakhta hai.


Blood Pressure Control Karta Hai
Tarbooz high blood pressure ko control karne me kafi madad 
karta hai. isme potassium,magnesium aur amino acid naso ko 
majboot banate hai aur hamare shareer me khoon ke douraan 
ko sahi rakhta hai daily ek gilaas tarbooz ka joos peene se high 
blood pressure jaisi bimari se bacha ja sakta hai.

Aankhon Ke Liye Faydemand
Tarbooz aankhon ko bhi swasth rakhta hai isme beta carotene k 
achcha source hone ki wajah se vitamin A ki bharpoor matra milti 
hai jo aankhon ki roshni ke liye bahut achchi hoti hai sath hi isme 
maujood hycopene aankhon ke retina ke kaiPrakar ke rog ratondi,
motiabind se bhi bachati hai,rozana tarbooz khane se bhi aankhen 
swasth aur chamakdaar hoti hai.


0 comments:

Post a Comment