Tuesday, 28 June 2016

AMRUD KHANE KE FAYDE ( BENEFIT OF GUAVA )

Diabetes Me Fayda
Amrud(guava ) khane sugar control me rehti hai. amrud me fibre kaafi matra me hota hai. jisse body me insulin ko badane me madad milti hai aur sugar control me rehti hai. isliye amrud ka sevan karna chahiye.







Kabz Me Fayda
Daily 1 taza amrud kha kar aap apna pet clear kar sakte hai yani 
kabz se chhutkara pa sakte hai.Amrud khane se shreer me metabolism 
maintain rehta hai aur kabz ki shikayat nahi hoti.





Blood Pressure Ko Control Karta Hai
amrud khane se BP bhi control me rehta hai. amrud me potassium hota hai jo shareer me sodium ke effect ko kam karta hai. jisse Blood Pressure control rehta hai saath hi amrud khane se cholestrol bhi kam hota hai.




thyroid Me Fayda
Amrud khane se thyroid  me fayda hota hai kyuki amrud me Iodine hota hai jo thyroid ke  rogi ke liye faydemand hai.




Dimag Tez Hota Hai
Amrud khane se dimag bhi tez rehta hai. kyuki amrud me vitamin B 
dimag ke liye faydemand hai. vitamin B blood circulation ko badata 
hai. jisse brain tezi se kaam karne lagta hai.




Mu Ke Chhalon Me Fayda
Agar aapke mu me chhale hai to aap amrud ke nai paatiyon (kopal )
ko chabayen. Mu ke chhalon me me amrud ki pattiyan aur kachcha 
amrud dono fayda karte hai.




Skin Me Glow 
Amrud khane se chehre par glow aata hai aur chehre ke dag dhabbe bhi door hote hai. kyuki amrud me kaafi matra me potassium paya jata hai. jo skin me glow lata hai. isliye daily amrud ka sevan kare.




Dant Ke Dard Me Fayda
Amrud Ke patto ko pani me ubalkar aur usme thodi si fitkari ghol lein. ab isse kulla kare. dant ke dard me araam milta hai.





0 comments:

Post a Comment