
Haddiyon Ko Majboot Karta Hai
Ananas ka juice haddiyon ke liye bahut faydemand hota hai.
Ananas(pineapple) me calcium aur magnesium kafi matra me hota
hai.jo haddiyon ko majboot banata hai. gathiya ke rogi ko bhi isse
fayda milta hai. 1 cup ananas ke juice se 73% tak magnesium aapki
body ko mil jata hai.
Aankhon Ki Roshni Me Fayda

Ananas ka sevan agar din me do se teen baar kiya jaye to aankhon ki
roshni kam hone ka khatra kam ho jata hai.
High Blood Pressure Me Fayda
Ananas me potasium kafi matra me hota hai aur sodium ka level
kam hota hai. jiski wajah se body me blood ka circulation control
rehta hai. isliye ananas ko apne khane ka hissa jaroor banaye.
Immune System Ko Majboot Karta Hai
ananas aapko kai tarah ki bimariyon se bachata hai. ananas me
vitamin C hota hai. jo body ke immune system ko majboot karta hai.
Nakhoon Ko Majboot Banay

nakhoon me dararen pad jati hai. to samajh jaiye ki apki body me
vitamin A aur vitamin B ki kami hai. Ananas ke daily sevan se dono
vitamin ki kami poori hogi aur aapke nakhoon majboot aur
khoobsurat bane rahenge.
Daant Aur Masundo Ko Fayda
Aananas ka juice peene se aapke daant aur masunde bhi swasth rehte hai.
0 comments:
Post a Comment