Saturday, 4 June 2016

GAAYE KE GHEE KE FAYDE ( BENEFIT OF COW CLARIFIED BUTTER ) IN HINDI

Cholestrol Kam Hota Hai
Isse rakt aur aanto me maujood cholesterol kam hota hai. kyunki ghee biliary lipid ka straaw badh jata hai. desi ghee 
me shareer me bad cholesterol ke level ko sahi rakhta hai aur achhe cholesterol ko badhane me madad karta hai.



Aasani Se Nahi Jalta
Gaaye ke ghee ka smoking point dusre fat ki tulna bahut kam 
hota hai.  isliye ye pakate waqt asaani se nahi jalta yeh ghee ki 
chhoti fatty acid ki chain ko shareer bahut jaldi pacha leta hai. 
isse apki pachan shakti achhi rehti hai.



Wazan Control Hota Hai
Agar gaaye ke ghee ko niyamit roop se bhojan me shamil kiya jaaye to isse wazan bhi kam hota hai aur kisi bhi tarah ki beemari bhi nahi hoti.



Bimariyan Door Karta Hai
Gaaye ka ghee dil ke sath aur kayi beemariyo ko door karne me sahayak hota hai. dil ki naliyo me blockage hone per gaaye ka ghee ek lubricant ki tarah kaam karta hai. heart attack me chiknayi khane ki manahi hoti hai lekin gaaye ka ghee khane se 
dil ko fayda hoga.



Tawcha Ko Deta Hai Nami
Gaaye ke ghee me zyada matra me antioxidant paya jata hai. Jo free radicals se ladta hai aur chehre ki chamak ko barkarar rakhta hai aur tawcha ko mulayam aur nami deta hai. tawcha ko nourish karne ke sath sath dryness ko bhi kam karta hai. aap desi ghee se roz chehre ki masaj kar sakte hai.

0 comments:

Post a Comment