Friday, 3 June 2016

GULAB KI PATTIYON KE FAYDE (BENEFIT OF ROSE LEAVES)

Kaan Ka Dard Kare Kam
Kaan me dard hone par gulab ki pattiyon ke ras ki boonde kaan me dalne se rahat milegi.



Daad Me Fayda
Gulab ke ras me neembu ka ras mila ker daad per lagane se daad theek ho jata hai.



Jalan Kam Kare
Jee machlane,,gale aur seene me jalan hone per 1 cup gulabjal,
chauthayi cup santare ka ras or chauthayi cup choone ka paani 
mila ker din me 2 baar sewan karne se apko in rogo se nijaat mil 
jayegi.



Hazma Theek Kare
Shareer me jalan hone per gulaabjal ko chandan me mila ker iska lep lagaye.



Hazma(Digestion) Theek Kare
khana khane ke baad gulkand khane se hazma theek rehta hai.



Mu Ki Badbu Door Kare
Muh ki badbu ko door karne ke liye gulab ke phool,,laung aur 
chini ko gulabjal me pees ker goliyan bana ker choose ye muh ki 
badbu ko door karta hai.



Kabz Door Kare
Chandan ke tel me gulab ke ark ko mila ker maalish karne se sheet 
Pitt me fayda milta hai,,,iske alawa sanaye ki patti ko gulkand ke sath 
sewan karne se kabz door hota hai.



Garmi Se De Araam
Garmi lagne per ya jalan hone per 5 ilaychi,,10 gm. gulab ki pankhudi,, 5 Kali mirch,, aur 10 gm. mishri ko pees ker har chaar ghante me piye araam milega.



Sir Dard Me Fayda
Safed chandan powder me kapoor aur gulabjal ko mila ker maathe pr lagane se sir dard theek hota hai.



Chhaalon Se Nijaat
Muh ke chhalon se nijat pane ke liye subah gulkand ka sevan kare.



Loo Lagne Par De Rahat
Loo lagne per thande pani me gulabjal mila ker maathe per patti rakhe.
apko araam milega.

0 comments:

Post a Comment