Sunday, 26 June 2016

KELA KHANE KE FAYDE (BENEFIT OF BANANA )

Kela(Banana)  har mausam me asani se milne wala phal hai. kela urja ka sabse achhha madhyam mana jata hai.Kele me thiamine,riboflavin,niacin aur folic acid vitamin A aur vitamin B kaafi matra me paya jata hai.kela khane k bahut fayde hai jaise-


Blood Pressure Me Fayda
Kela high blood pressure me fayda karta hai. kele( Banana) 
me potassium hota hai jo blood pressure ko control me help 
karta hai. isliye BP ki problem me kela khana chahiye.




Wazan Badhaye
Duble patle logo ko apna wazan badane ke liye kela ek achha 
madhyam hai. diabetics  ko ye tarika nahi apnana chahiye. 
daily 6 kele aur doodh lene se wazan bahut jaldi badta hai.




Stress Door Karta Hai
Kela khane se mood bhi achha rehta hai aur tanav(stress) bhi
kam hota hai. Kele me tryptophan amino acid hota hai. jisse 
serotonin hormone hota hai. jo stress ko kam karta hai.




Nervous system Theek Karta Hai
Kela Khane se yaaddasht bhi achhi rehti hai aur nervous system 
thek rehta hai kyuki kele me vitamin B6 kaafi matra me paya jata hai.




Haddiyon Majboot Banata Hai
Kela khane se haddiyan bhi majboot hoti hai kyuki kele me 
probiotic becteria hota hai. jo khane se calcium ko sokhta hai. 
joki haddiyon ko majboot banata hai.





Animia Me Fayda
Kela khane se khoon me hemoglobin badta hai. isliye animia ke 
rogi ko kela jaroor khana chahiye. kele me blood me milne wala 
iron tatv hota hai.




Dil Ke Liye Faydemand
Kela dil ke liye bhi faydemand hai. kele me potassium kaafi matra 
me hota hai jo dil ke liye faydemand hai aur  strokes se bhi aapko 
bachata hai.
  

0 comments:

Post a Comment