Sunday 5 June 2016

KHEERE KE FAYDE ( BENEFIT OF CUCUMBER ) IN HINDI

Kheera Pani Ki Kami Door Kare 
Kheere me erepsin namak enzyme hota hai,,Jo protein ko pachane me sahayata karta hai,,kheera pani ka bahut achha strot hota hai,, kheere me vitamin A,B1,B6,C,D,potassium, phosphorus, iron aadi aadhik matra me paye jate hai,,kheere ka juice shareer ko mazboot banata hai.



Kabz Me Fayda
Kheera kabz me rahat deta hai sath hi pet se Judi bimariyon me 
faydemand hota hota hai. jinko pet ki samasya hai wo dahi me 
kheere ko kas kar usme pudina,,kaala namak,,kaali mirch,,jeera 
aur heeng dal kar rayta banaker khaye,,isse fayda hoga.



Baal Aur Skin Ko Chamakdar Banata Hai
Kheere me maujood silicon aur sulphur baalon ki growth me 
madad karte hai,sath hi chamakdar bhi banate hai,,kheere ke juice 
ko gajar aur palak ke juice me milaker le sakte hai isse tawcha bhi 
nikharti hai.



Wazan Kam Karta Hai 
Jo log wazan kam karna chahte hai,,un logo ke liye kheera bahut faydemand hota hai,,kheere me paani zyada aur calorie kam hoti hai. isliye isse wazan kam hota hai bhook lagne per salad ki tarah kheera khaye ya soup piye.



Aankhon Me Thandak Deta Hai
Kheere ko aankho per rakhne se thandak milti hai,kheere ki taseer 
jalan kam karne ki hoti hai. zaruri nahi sirf facepack lagane ke baad 
hi aisa kar sakte hai,,jab bhi aankho me jalan mehsoos ho to aap 
kheere ki madad le sakte hai.


0 comments:

Post a Comment