Thursday, 30 June 2016

MULI KHANE KE FAYDE ( BENEFIT OF RADDISH )

Piliya ( jaundice ) Me Fayda
Muli khane se piliya rog theek hota hai. kyuki muli liver ke liye bahut faydemand hai.muli ek detoxifier ke roop me kaam karti hai jiska kaam blood ko saaf karna aur usmme se vishakt padartho ko khatam karna.muli bilirubin ko blood se nikalta hai aur iske level ko badne nahi deta hai. ye red blood cell ko damage hone se rokta hai. kali muli jaundice ke patients ko jyada fayda karti hai.





Peshab Ki Rukawat ( urinary Disorders )Me Fayda
Muli khane se agar peshab karne me jalan aur dard hota hai to muli ke 
ras ko peene se is samasya se nijat milti hai. muli peshab ko badati hai 
sath hi gurde aur urinary system  ko clean karti hai.





Wazan Kam Karne Me Fayda
Muli ka istimal karke wazan bhi km kiya ja sakta hai. muli khane se aap ki bhook shant hoti hai bina calorie bade. muli khane ko jaldi digest karti hai. muli body ke metabolism ki working ko sahi karti hai.muli ko khane me shamil karna chahiye chahe salad ke roop me 
hi ho.






Constipation Me Fayda
Muli khane se constipation bhi  theek hota hai. muli ka ras digestion ko 
aur motion system ko thek karta hai.




Cancer Se Bachao
Muli khane se kai tarah ke cancer se bhi bachao hota hai. Muli me 
detoxifiers , vitamin C, folic acid aur anthocyanins  kaafi matra me 
hote hai. jo  gurde, pet, aanto aur mu ke cancer ke ilaj me sahayak 
hote hai.muli me isthiocyanates paya jata hai jo cancer ki koshikao 
ko khatam karne me madad karta hai.





Blood Pressure Me Fayda
Muli khane ka ek aur  fayda blood pressure ko control karna bhi hai. 
Muli me potassium achhi matre me hota hai. potassium BP ko badne 
se rokta hai.






Skin Ki Bimariyon Me Fayda
Muli hamari skin rogo ko door karne me bhi madad karti hai.Muli me vitamin C, phosphorus,zinc aur kuchh matra me vitamin B hota hai jo skin ke liye faydemand hai. muli me pani ki matra skin me nami ke level ko mmaintain rakhne me madad karti hai.muli ko ghis kar face pack bhi lagane se skin me chakatte, sookhi tavcha aur dararo se chhutkara milta hai.
    

0 comments:

Post a Comment