Monday, 27 June 2016

PAPITA KHANE KE FAYDE ( BENEFIT OF PAPAYA )

Papita ek aisa phal hai. jo kachcha aur pakka dono tarah se khaya jata hai aur ye kachcha aur pakka dono  tarah se khane me sehat ke liye bahut faydemand hai.Papite me vitamin c paya jata hai sath hi papita pet se sambhandit kai tarah ki bimariyon me fayda karta hai.





Blood Pressure Control Karta Hai
papita khane se BP control rehta hai. papite me carpaine tatv 
paya jata hai. jo BP ko control karta hai. agar aapko bp ki shikayat 
hai to aap kachcha papita khaye.






Digestion Theek Karta Hai
Papita (papaya ) digestion system ko bhi theek karta hai. papite me papain enzyme aur fibre digestion system ko theek karta hai.





Piliya ( jaundice ) Me Fayda

Papita piliy(jaundice)me bhi bahut fayda karta hai. piliye hone par 
rogi ka liver kamjor ho jata hai aur pachan shakti kam ho jati  hai. 
piliya ke rogi ko daily ek papita jaroor khana chahiye jisse digestion 
theek ho aur piliya jaldi theek ho paye.






Wazan Kam Karne Me Fayda ( weight loss )

Papita wazan kam karne bhi bahut faydemand hai. papita shareer se 
vasa kam karne me bhi madad karta hai. papite me bahut kam calories 
hoti hai. isme maujood fibre apke digestion ko theek rakhta hai.







Cholestrol Ko Kam Kare

Papita cholestrol ko kam karta hai jisse heart attack jaisi gambhir 
bimariyon se bacha ja sakta hai. papite me vitamin C,fibre aur 
antioxidant kaafi matra me hote hai. jo blood koshika me cholestrol ko jama hone se rokte hai.isliye papite ka istimal apne daily ke khanpaan me karna chahiye.







Immune System Ko Badata Hai

Hamare shareer ka immunity system strong hona bahut jaroori hai.
jisse shareer kai tarah ki bimariyon se bach sake. papita immune 
system ko badane me bahut kargar hai kyuki papite me vitamin C 
hota hai. papite ko apne ahaar me shamil jaroor karna chahiye.





Aankhon Ki Roshni Me Fayda

Papita aankhon ki roshni me bhi fayda karta hai. papite me vitamin A 
kaafi matra me hota hai jo aankhon ki roshni ke liye faydemand hoti hai.





Masik Dharm Dard (Menstrual Pain ) Me Fayda 

Jin ladies ko peroids ke dauran dard hota hai. unko apne khane me papita jaroor istimal karna chahiye. 250gm. papita lagbhag ek mahine tak istimal karne se is samasya me fayda hota hai kyuki papite me papain enzyme period ke dauran parvah ko sahi rakhta hai. jisse dard nahi hota hai.





Tanav (Stress) Ko Kam Karta Hai
Research ke anusar 200 gm. vitamin C stress hormone ko control 
karne me sahayak hota hai. papite me vitamin c kaafi matra me 
hota hai. isliye agar din bhar ki thakan aur stress ko kam karna hai 
to sham ko ek plate papita kha kar aap fresh mehsoos kar sakte hai.





Jhurriyon Me Fayda
Papita hamari skin ke liye bhi bahut faydemand hai. papita ko agar 
aap apne chehre par ragad kar massag karte hai  ya phir papite ke 
gude ka face pack banakar lagate hai aur adha ghanta lagane ke baad 
jab sookh jaye to gungune paani se chehre ko dho lein. is  vidhi ko 
lagatar karne se apke chehre ki jhurriyan khtam ho jayengi

0 comments:

Post a Comment