Sunday, 19 June 2016

PHOOLON KE FAYDE/ PHOOLON SE GHARELU ILAJ ( BENEFIT OF FLOWERS )

Gudhal (Hibiscus )
MUH KE CHHALON me gudhal ke patte chabane se fayda hota hai. Gudhal ka phool vitamin C, calcium, fiber, iron ka achchha srot hai.iske alawa gudhal ke phool ka prayog cholesterol, diabetes, high blood pressure jaise rogo ke ilaaj me use hone wali dawaon me kiya jata hai.







Gulab ( Rose )
gulab behad achchha blood purifier hai.Astma, high blood pressure, diareaha, cough, fever aur hazme ki gadbadi me gulab upyogi hota hai. isse aankho ki jalan bhi door hoti hai.
Subah agar khali pet gulab ki 2 pankhudiyan kha li jaye to din bhar taazgi bani rehti hai. 







Genda ( Marigold )
Gende ka phool ghaav bharne ka sarvsresth marham mana jata hai.gende ke phoolon ko tulsi ke patto ke sath pees ker malham banaya jata hai. Charm rog ya shareer ke kisi hisse me soojan aa Jane per in phoolon ka pest lagane se fayda hota hai.Gende ke ras se kulla karne per daant dard aur kaan me daalne se kaan ka dard theek ho jata hai.







Kamal(Lotus ) 
Kamal ke phool phode-phunssi ko door karte hai. Iski pankhudiyon ko khane se motapa kam ho jata hai. iski pankhudiyon ko pees ker chehre per lagane se sundarta badhti hai. in phoolon ke parag se madhumakkhiya shahad banati hai.







Chameli ( Jasmin )
Chameli ke phoolon se bana tel tavcha rog, dant rog, ghaav aadi par faydemand hota hai. chameli ke patte chabane se muh ke chhalo me turant rahat milti hai.yeh tavcha aur baalon ke liye upyogi hai. Raat ko pani me bhigo kar subah pees lein aur gulabjal mila lein. ise baalon me lagane se chamak aur tavcha me lagane se nikhaar aata hai.












































































































































0 comments:

Post a Comment