Wednesday 22 June 2016

SANTRA KHANE KE FAYDE ( BENEFIT OF ORANGE )

Santra khane se bahut fayde hote hai. ye garmi aur sardi dono mausam me khaya jata hai. santra shareer me vitamin C ki kami ko poora karta hai saath hi folic acid bhi bahut faydemand hota hai. 








High Blood Pressure Me Fayda
Santra khane se high BP control rehta hai. santre me potassium 
aur magnesium hota hai jo high BP ko control karta hai.






Pathri( Kidney Stone ) Me Fayda
Santre ke juice se gurdey ki pathri hone ka khatra bhi kam hota hai kyuki  santre ka juice gurdey  me calcium oxalate ko jama hone se rokta hai.









Motapa Kam Karne Me Fayda
Santre ko apni rozana ki diet me shamil karke aap apne wazan ko 
bhi kam kar sakte hai. santre me kafi matra me fibre hote hai aur 
fats bilkul nahi hota hai. daily 2 santre istimal karke apni sehat ko 
achha kar sakte hai.fibre ki matra kafi hone se digestion bhi sahi 
hota hai.





Cancer Se Bachao
Cancer se bachne me santre ka juice kafi madad karta hai. santre 
me antioxidant kafi matra me paya jata hai jo cancer ko hone se 
rokta hai.






Immune System Ko Majboot Karta Hai
Santre me kafi matra me antioxidants hote hai. santre ka juice peene se thakan aur tention dono door hote hai aur turant urja milti hai.





Aankhon Ki Raushni Me Fayda
Santre ko daily khane se aankhon ki raushni me bhi fayda hota hai kyuki santre me vitamin A hota hai.




Santre Ke Chhilke Se Fayda
Santre ke chhilke se chehre ke dag-dhabbe bhi door hote hai. santre ke chhilko ko dhoop me sukhakar usse barik pees lein aur kachche doodh me milakar chehre par lagaye aur kuchh samay tak laga rehne dein. iska istimal weak me 3-4 baar kare jisse face ke dag dhabbe chale jate hai aur chehra bhi nikhar jata hai.



0 comments:

Post a Comment