Monday, 13 June 2016

SAUNF KHANE KE FAYDE (BENEFIT OF FENNEL)

Dard Se Rahat
Saunf pelvic aur garbhashey ki jagah rakt ko niymit aur santulit roop se prawah karwa ker maasik dharm ke dauran dard se rahat dilati hai. Jo mahilaye maasik dharm ke dauran saunf ka sevan karti hai unhe dard kam hota hai.




Mouth Freshner Ka Kaam Karta Hai
Saunf mouth freshner ka kaam karti hai.isme kayi tarah ke 
khushbudar tel hote hai.jo muh se badbu ko door karte hai.isko 
chabane se laar banti hai Jo khane ko pachane me sahayak hoti hai.




Kabz Ko door Kare
Saunf badhazmi ko door karti hai. isme fibre hota hai. wo kabz ko 
door karta hai.



Wazan Kam Karti Hai
Saunf aur kale mirch ke sewan se wazan ghat-ta hai, sath hi ye cholesterol ki matra ko bhi kam karti hai aur metabolic syndrome aur diabetes se bachati hai.



B.P. Ko Control Karti Hai 
Saunf me nitrite aur nitrate prachur matra me hote hai.ye Dono naye khoon ki koshikaaon ke banne aur sankhya badhane 
me madad karti hai. ye tatva blood pressure ko niyantrit rakhne 
me bhi sahayta karte hai.



Muhason Ko Door Kare 
Anti-becterial aur antioxidant guno ke karan ye skin ke liye kaafi 
faydemand hoti hai.iske beej se banaya hua lep lagane se muhason 
ka nikalna kaafi had tak kam ho jata hai.

0 comments:

Post a Comment