Thursday, 9 June 2016

STAMINA BADHANE KE UPAY (HOW TO INCREASE STAMINA )


KELA
Lambi bhaag daud ke baad kela zarur khana chahiye kyunki isme fibre aur natural sugar hoti hai isko khane se turant energy milti hai aur stamina ko badhati hai,,kele me thiamine, riboflavin, niacin aur folic acid ke roop me vitamin A aur vitamin B paryapt matra me maujood hota hai.





AKHROT
Isme omega hota hai Jo dil ke liye kaafi achha mana jata hai. workout karne se pehle 4-5 akhrot zarur khaye, fayda hoga.








BEETROOT
Beetroot me koi fat nahi hota. isliye ise swasthwardhak mana jata hai.isme bahut kam matra me calorie aur kaafi matra me fibre hota hai.iska juice bana ker peene se kaafi fayda hota hai.








NARIYAL PANI
Yeh best energy drink hai jisko workout se pehle peena chahiye.isse apko dher sare minerals milenge.








COFFEE
Workout se pehle 1 cup coffee stamina badhane ke liye behtar hai,
kyunki isme caffeine paya jata hai. coffee me antioxidants bhi hote
 hai. ye shareer ki koshikaaon ki sahi karne me madad karti hai.





OATMEAL
Oatmeal khane se kayi ghanto tak energy ka level bana rehta hai.isme carbohydrate hota hai Jo badi hi dheemi gati se hazam hota hai.







SHAKARKAND
Shakarkand me calorie ,starch ki samanya matra hoti hai,isko workout 
ke baad khane se stamina badh jati hai. 100 gm. shakarkand me 400% 
se zyada vitamin A paya jata hai.

0 comments:

Post a Comment