Thursday 9 June 2016

WAZAN KAM KARNE KE UPAY ( WEIGHT LOSS METHOD )




TARBOOZ

Pet ki charbi kam karne ke liye tarbooz ek asaan upaye hai. 
isme 91% pani hota hai aur vitamin B-1,B-6 aur C kaafi matra me hota hai. har roz 2 glaas tarbooz ka juice peene se 8 hafton me pet ki charbi ghat jati hai.





KHEERA
Garmiyo me kheera pyaas bhujhane ke liye khaya jata hai isse 
fat bhi kam kiya ja sakta hai. isme 96% tak pani hota hai, Minerals, fibre, aur vitamins bharpoor matra me hote hai. salad me roz 1 plate kheera zarur khaye.





2016/04/moong-ki-dal-ke-fayde.html

BADAAM
Badaam me swasthwardhak fat hota hai yeh over eating se bachata hai.badaam bhook ko dabane ka bhi kaam karta hai. 
ye dil ki beemariyo ko door rakhne me bhi madadgar hai.






BEANS
Khane me alag alag tarah ke beens khane se bhi charbi ghat ti hai.



AJWAIN
Diet me ajwain ki pattiyon ko bhi shamil ker lijiye. ajwain ki patti 
ke sewan se bhi pet ki charbi kam hoti hai.



TAMATAR
Tamatar me 9-oxo-ODA namak me yaugik pardarth paya jata 
hai yeh khoon me lipid kam karne ka kaam karta hai. Jo ki fat kam 
karne me madadgar sabit hota hai.

0 comments:

Post a Comment