Sunday, 17 July 2016

GANNE KE RAS KE FAYDE (BENEFIT OF SUGARCANE JUICE )

Dil Ki Bimari Me Fayda
Ganne ka ras dil ki bimariyon me fayda karta hai.ganne ke ras se shareer me cholesterol ka star girta hai.iss tarah dhamniyon me fat nahi jamta aur dil aur shareer ke angon ke beech khoon ka bahav achcha rehta hai.







Piliya ( Jaundice ) Me Faydemand
Ganne ke ras me maujood tatva apko piliya se bhi bachate hai. agar apko ye samasya hai to ganne ke ras me neebu mila kar piye jaldi hi fayda hoga.

Note- Ganne ka ras agar bazar me pee rahe hai to safai ka dhyan rakhe jaise glass saaf hona chahiye,ganne dhule hue ho, khula hua aur rakha hua ras nahi peena chahiye.





Digestion Me Fayda
Ganne ke ras me kaafi matra me potassium paya jata hai.jo pachantantra ko theek rakhta hai.isko peene se pachan ke sath-sath kabz ki bhi shikayat door hoti hai.







Acidity Me Fayda 
Ganne ke ras me kaafi matra me protein hota hai.Jo apko kidney me infection, urine infection, acidity jaisi samasyaon se nijaat dilata hai. aisi 
samasya hone par ganne ke ras me neembu aur nariyal pani mila ker peene 
se araam milta hai.





Muhason Me Fayda
Agar apke chehre par muhase hai to ganne ka ras kaafi faydemand sabit ho sakta hai. ise peene se skin ko hydroxi acid milta hai.isse apko muhase nahi honge.





0 comments:

Post a Comment