Thursday, 21 July 2016

TAMATAR KHANE KE FAYDE (BENEFIT OF TOMATO )

Tamatar aisi sabjiyon me se hai jo har dish ko banane ke kaam me aata hai. duniya ke har kone me istemal hota hai. Ye vitamin c aur vitamin b aur beta Carotene se bharpoor hota hai. iskA mijaz sardtar hota hai. ye khoon saaf krta hai aur khushki dur krta hai
Tamatar tandrusti aur sehat ke liye bahut zaruri hai.ye mariz ya wo log jo kamzor hai unhe tamatar ka estemal fayda deta hai.




Khoon(blood ) Saaf Karta Hai 
Tamatar khane ke kai fayde hai.Tamatar me tezabi khasiyat moujood hai jiska kaam khoon saaf karna hai aur bimariyo se mahfooz rakhne ke liye tamatar bahut zaruri hai.




Cancer Se Bachao
Tamatar cancer aur appendics ke khatre ko kam krta hai.tamatar me maujood anti-oxidants free redicals se ladte hai. 
tamatar kai tarah ke cancer se prakritik taur par bachao karta hai.




Majboot Haddiyan
Tamatar me calcium aur vitamin K hota hai jo ki haddiyon ko majboot banata hai.



Kabz Me Fayda
Tamatar khane ka ek aur fayda ye bhi hai ki tamatar khane se kabz dur hota hai.





Aankhon Ki Roshni Me Fayda
Tamatar mein vitamin A hota hai jo aankhon ki roshni ko badata hai.




Wazan Kam Karta Hai
Tamatar aapka wazan bhi kam kar sakta hai.agar aap apna wazan 
ghatane ke liye excercise wagairah kar rahe hai to aap apne khane 
me tamatar ka estimal jaroor kare. isme kaafi matra me paani aur 
fibre hota hai. bhook lagne par tamatar khane se se ye aapki bhook 
ko shant karta hai jisse aap apni diet limit me le te hai.tamatar ka 
juice peene se wazan kam hota hai.



Pregnancy Me Fayda
tamatar me vitamin C hota hai. jo pregnant ladies ke liye faydemand 
hai. isliye oregnancy ke dauran tamatar ka estimal karna chahiye.



0 comments:

Post a Comment