
barsat ke mausam me allergy hone ke chances jyada ho jate hai jisse sardi, jukam, khansi tonsils, naak se pani behna aadi bimariyon ho jati hai.
Aaj ham baat karte hai inke kuchh upaye ki --
Ghar Ko Jyada Band Na Rakhe
Barsat ke mausam me ghar ke khidki darwaje aksar khol dena
chahiye jisse dhoop aur bahar ki tazi hawa aati rahe. Jyada din
ghar ke khidki darwaje ( window & door ) band rehne se ghar
ki deewaro me nami aa jane ka dar hota hai.jisse allergy hone
ka dar hota hai.
Saaf Bistar Ka Istimal Kare
Barsat me bedsheet jyada din tak na bichhaye aur nahi pillow
cover. Bed ko deewar se hata ke hi rakhna chahiye. Bistar ko
saaf karte rehna chahiye.
Fafund Na Lagne Dein
Barsat me dewaron par aksar fafund lag jaati hai ya deewaro
par jaale ho gaye ho to unhe jaroor saaf kare kyuki ye allergy
hone ka reason ho sakte hai. Barsat me flower wale plants ghar
ke ander na rakhen.
Dhool Se Bachein
Ghar se bahar nikalte waqt naak ko jaroor dhak lein. Dust aur
smell se bhi allergy hone ke chances rehte hai.
0 comments:
Post a Comment