Monday, 1 August 2016

CHEHRE PAR BARF LAGANE KE FAYDE

Daag-Dhabbon Me Fayda
1 cotton ke kapde me barf rakhe aur usko apne chehre aur gardan me lagaye. Barf ek hi jagah na lagaye isse skin laal ho sakti hai. barf lagane se apke chehre ke daag dhabbe jaldi khatam ho jayenge.





Pimple Me Fayda
Agar aap apne chehre ke pimples se bahut pareshan hai to pimples 
wali jagah par 10-15 minute ke liye barf lagaiye. aisa karne se 
pimples gayab ho jayenge.





Dark Cicles Me Fayda
Chehre par barf lagane se dark circles door ho jate hai. agar apko bahut zyada makeup lagana pasand nahi hai to niyamit roop se barf ka istimaal karna chahiye. aisa karne se chehra fresh bana rahega.





Make-Up Me Fayda
Agar ap chahti hai ki make-up zyada waqt tak ruka rahe to iske 
liye make-up karne se pehle chehre par barf lagaye.iske baad ise 
saaf cotton ke kapde se ise sukha lein. phir make-up lagaye. agar 
apko sunburn ya tanning ki samasya hai to iske liye din me ek baar 
barf ka istimal karen. isse apka chehra somya hoga.





Aankhon Ki Samasya
Mobile se aankho ki samasya bahut hone lagi hai.iss samasya se barf 
apko nijaat dila sakti hain aur apko taazgi bhi mehsus hogi. iske liye 
ek barf ke tukde ko ek mulayam kapde me lapetkar ise aankhon ke 
upar thodi der ke liye rakhiye. aisa karne se rahat milti hai.


0 comments:

Post a Comment