Saturday 20 August 2016

DIABETES (SUGAR ) KA GHARELU ILAJ IN HINDI

Methi Ke Beej
Sugar ko control karne ke liye methi ke beej kaafi fayda karte hai. isme 4 hydroxyisoleucine naam ka amino acid hota hai. ye ek tarah se insulin ka kaam karte hai. methi ko pees kar iska powder bana kar rakh lein aur subah sham iska sevan kare.





Karele Ka Juice
Ek chhote karele ke beej ko nikal kar uska juice nikal lein aur subah nahar mu piye. ye aapke blood me sharkara ki matra nahi badne deta hai. karele ka juice sugar ko control rakhne me bahut madad karta hai.





Anjeer Ke Patton Se Fayda
Anjeer ke patte bhi sugar ko control karne me bahut madad karte hai. anjeer ke patton ko ubal lein phir isko chhan lein. 
chhane hue paani ko thanda karke peene se sugar me bahut 
fayda hota hai.




Aam( Mango ) Ke Patton Se Fayda
Aam sugar ke marijo ke liye nuksande hai lekin aam ke patte utna 
hi fayda pahuchate hai sugar ke rogiyon ke liye. Aam ke thode se patte 
lekar unko 1 glass pani me ubal lein aur usko raatbhar aise hi rehne dein. 
savere paani ko chhan lein. khali pet is uble hue pani ko peene se sugar 
control ho jati hai. isko niyamit roop se kare.




Daalchini Se Fayda
Daalchini sugar ko control karne me madad karti hai lekin daalchini ka jyada sevan nuksan bhi pahucha sakta hai. jin logo ko sugar hai aur wo doctor ki medicine le rahe hai to unhe doctor ki salah lekar hi khana chahiye. daalchini ko peeskar uska sevan kare din me ek do baar.




Jamun Se Fayda
Sugar ke rogiyon ke jamun khana chahiye. jamun khane se bhi sugar control hoti hai. 

0 comments:

Post a Comment