Sunday, 7 August 2016

MASUDON KI SOOJAN KO DOOR KARNE KE UPAAYE

Laung (Clove )
Laung mein eugenol hota hai jisme antioxidant aur soojan ko door karne ka gun hota hai. Laung se masudon ka dard bhi door ho jata hai.





Namak Ke Pani Se Kulla
Muh se sambandhit samasyaon ke chhutkare me namak ka pani bahut faydemand hota hai. Namak ke pani se kulla karne se muh me hone wale infection se bacha ja sakta hai. Jo masudon me soojan aane ki ek wajah hai.




Babool Ki Chhaal
Babool ki chhaal masudon ki soojan se chhutkara dilane me 
jaadu ki tarah kaam karti hai. babool ki chhaal ko paani me 
ubaal kar mouthwash bhi bana sakte hai. Jaldi rahat paane ke 
liye din me 2-3 baar iss gharelu mouthwash se garara kare. 

0 comments:

Post a Comment