Monday, 8 August 2016

PUDINE KE FAYDE IN HINDI ( BENEFIT OF MINT LEAVES )

Loo Me Fayda
Garmiyon me pudine ka ras ya kachche aam ke ras ke sath pudina lene se loo nahi lagti hai.





Pait Ki Gas Me Fayda
Pait me gas hone per 1 cup garam paani me adha chhota chammach pudine ka ras dal kar piyen. gas ki pareshani door hoti hai.pudina pait ka hazma bhi theek karta hai.





Naak,Gale Ke Band Hone Par Fayda
Naak band ho jaye to taaze pudine ke patte ko soonghne se fayda 
hota hai. gale me kharash hone par bhi pudine ka kadha liya ja 
sakta hai.jisse band jaldi hi khul jata hai.




Daant Aur Muhason Ke Liye Faydemand
Pudine ki pattiyan daanto ki dekhbhaal aur muhason aur blackheads ko theek karne me bhi kiya ja sakta hai.





Makkhi-Machchhar Door Bhagaye
Agar ghar ke Charo taraf pudine ke tel ka chhidkaav kar diya 
jaye to makkhi-machchhar door rahenge.





SKIN KE LIYE FAYDEMAND-

1-Yeh skin ki koshikaaon ko nayi urjaa deta hai aur skin ki nami ko khone nahi deta.

2-Yeh antiseptic hai. iski wajah se iska prayog body cleanser, saabun aur body wash me bhi hone laga hai.

3-Oily skin hai to pudine ka facial apke liye sahi rahta hai.

0 comments:

Post a Comment