
Kamzori ke dauran soup ka sewan immune system ko badhata hai. soup paushtik tatvon se bharpoor hota hai. yeh flu, common cold aur fever jaise infection se door rakhta hai aur swasth rakhta hai.
Digest Asaani Se Hota Hai
Soup asaani se Digest ho jata hai. isliye kamzori ke dauran isko
peena chahiye. kamzori hone par apne shareer ko boost karne
ke liye healthy soup piyein.
Cough Ko Patla Karta Hai
Kamzori ke dauran cough gadha ho jata hai aur iss gadhe cough
me aise tatva hote hai Jo bacteria aur virus banate hai. soup ki
madad se cough ya balgum patla ho jata hai. isse bacteria aur
infection se ladne me madad milti hai.
Anti-Inflammatory
Khansi se pareshan logon ko chicken soup lene ki salah di jati hai.
yeh anti-inflammatory ka kaam karta hai.
Paushtik Hota Hai
Soup bahut hi zyada poushtik hota hai. ise aap baby food bhi keh
sakte hai kyunki ye asaani se digest ho jata hai sath hi ye beemari
se ladne ke liye apki immunity bhi badhata hai.
0 comments:
Post a Comment