Monday, 5 September 2016

HEENG ( ASAFOETIDA ) KHANE KE FAYDE IN HINDI

Digestion Me Fayda 
Hazme aur pet ki kai bimariyon ke liye heeng ka istimal pracheen kaal se kiya ja raha hai. iske anti-inflammatory aur antioxidants tatva kharab pet, acidity, pet me keede jaisi bimariyon me fayda pahunchate hai.





Periods Ki Samasyaon Me Fayda 
Heeng me maujood anti-inflammatory tatva periods se Judi 
sabhi takleefo jaise ki cramps, aniyamit periods ya zyada takleef 
me rahat pahunchate hai.





Cough Door Kare
Heeng balgum (cough ) ko door karke seene ki rukawaton ko theek 
karta hai. ise shahed, adrak ke sath mila kar khane se khansi aur 
bronchitis ki bimari me fayda hota hai.





Sugar Ko Kam Karne Me Fayda
Agar ap blood sugar level kam karna chahte hai to khane me heeng leni chahiye tabhi ye antidiabetic effect dikha payega. heeng insulin ko chhupane ke liye angashey ki koshikaon ko uttejit karta hai. jisse sugar level kam hota hai.





Cancer Se Bachaye
Heeng me shaktishaali antioxidants hote hai. jab ap ise lagatar 
khate hai to ye free radicals se shareer ko bachati hai. Heeng ki 
cancer-virodhi gatividhi cancer koshikaon ka vikas me rukawat  
paida karti hai.





B.P. Control Hota Hai 
Heeng me comrinc naam ka ek tatva hota hai. Jo khoon ko patla 
karke blood flow badhata hai, iski wajah se khoon ke thakke nahi 
jamte. isse blood cholestrol level ghat ta hai jiski wajah se 
hypertension se bachav hota hai.





Skin Ko Nikharti Hai
Heeng me anti-inflammatory tatva hote hai jiski wajah se ise skin 
care product me milaya jata hai,,ye skin ki jalan jaisi samasyaon 
ko door karti hai. Skin par lagane par heeng thanda prabhav 
dikhati hai.





Dard Me Fayda
Heeng ke sewan se daant, migraine ka dard theek kiya ja sakta hai. 
Heeng me antioxidants aur dard nivarak tatva maujood hote hai. 
Dard hone par 1 glaas pani me chutki bhar heeng mila kar pee lein, 
Daant ke dard me heeng aur neembu ke ras ka pest banakar lagaye.




0 comments:

Post a Comment