Saturday, 24 September 2016

KHANE KE FAURAN BAAD YE NA KAREN

Walk Nahi Karni Chahiye
Khane ke turant baad walk karne se shareer me blood circulation par asar padhta hai. isse digestion sahi tarah se nahi ho pata aur acidity ki samasya ho jati hai. khane ke adhe ghante baad tahel sakte hai.





Cigarette Na Piyen
Khane ke baad pee gayi 1 cigarette 10 guna zyada bura asar daalti hai. isse dil se judi beemari ho sakti hai. khane ke baad 2 ghante tak cigarette na piyen.




Brush Na Karen
Zyada meetha ya kuch khatta khane ke baad daanton ki upari parat kamzor ho jati hai. aise me brush karne se yeh nikal sakti hai. jisse daanton ko nuksan pahunchega. khane ke adhe ghante baad brush kar sakte hai.





Nahana Nahi  Chahiye 
Nahate samay hamara shareer thanda ho jata hai jiska asar B.P. par bhi padhta hai. isse digestion dheema ho jata hai. khane ke adhe ghante baad naha sakte hai.

Fruits Nahi Khayen
Khane ke turant baad fruits khane se digestion sahi tarah se nahi ho pata jisse unka pura nutrition body ko nahi milta. khane ke 1 ghante baad fal kha sakte hai.

Fauran Sona Nahi Chahiye
Khana khane ke turant baad sone ya letne ki aadat sehat bigaad sakti hai. digestion bhi dheema ho jata hai. khane ke kam se kam 2 ghante baad soyen. 

0 comments:

Post a Comment