Monday 12 September 2016

MISRI KHANE KE FAYDE IN HINDI

Aankhon Ki Roshni Badti Hai
Agar aankhon ki kamzori ki wajah se sir me dard hota ho to 1 chammach misri aur 1 chammach saunf ka powder chutki bhar ilaychi powder ke sath subah shaam lein, isse aankhon ki kamzori ke wajah se hone wala dard door hoga aur nazar bhi tez hogi.





Chhalon Se Nijat 
Agar chhalon se pareshan hai to misri aur ilaychi ko pees kar iska 
lep tayyar karen. is lep ko chhalon par lagane se araam milega.





Sinus Se Araam
Sinus ki samasya ho to 15 tulsi ke patte, 10 kaali mirch, 10 misri ke 
tukde aur 1 adrak ka tukde ko 1 glaas paani me ubaal lein aur rozana 
subah khali pet garam- garam lein to fayda hoga.





Sir Dard Me Araam
Kabhi-kabhi kabz ki wajah se hamare sir me dard hone lagta hai. aise 
me 1 glaas paani me 2 chammach isabghol ko Raat me bhigo kar chhod 
den, subah 2 chammach misri ko pees kar uska choora bana lein. ise 
bheege hue isabghol me milakar peene se dast ki samasya door ho jati 
hai ,sath he sir me hone wale dard se bhi rahat milti hai.





Piles Se Chhutkara
Agar aap bawasir se pareshan hai to misri, makkhan aur naagkeshar ko 
saman matra me pees kar roz subah shaam garam dhoodh me mila kar 
lene se bawasir ke marizon ko araam milta hai.





Tonsils Ke Dard Se Rahat
Agar tonsils hai to misri aur ilaychi ko peeskar makkhan ke sath milakar  
rozana subah shaam lene se araam milta hai.

0 comments:

Post a Comment