Sunday 11 September 2016

PHALON KE BEEJ KE FAYDE IN HINDI

Tarbooj Ke Beej Ke Fayde 
Tarbooz ke beejon me kaafi matra me zinc, fibre, iron paya jata hai aur ye healthy oleic acid aur lenoneum acid ke achchhe strot hote hai.in beejon ke khane se apko kayi zaruri poshak tatva mil jate hai aur ye beej apke nakhoonon( nails ), baalon aur skin ki chamak ko barkarar rakhte hai.





Papite Ke Beej Ke Fayde
Papite ko khate samay aksar log uske beeje phenk dete hai, jabki papite ke beejon me proteolytic enzymes adhik matra me paya jata hai. Jo apke shareer ko keetadun aur jeewaduon se door rakhta hai.







Blackberry Beej Ke Fayde 
Blackberry ke beejon me omega-3 fatty acid aur omega-6 fatty acid ke sath hi dietary fibre aur protein ki bhi uchit matra paayi jati hai.in beejon me paya Jane wala unsaturated fat,dil se Judi beemariyon ke khatre ko kam karta hai.






Kiwi Fruit Ke Fayde
Chhote-chhote kaale rang ke kiwi ke beej vitamin E aur omega-3 
fatty acid ke kaafi achchhe strot hote hai. in poshak tatvon ko apni 
diet me shamil karne se aap kabz aur dil se Judi beemariyon se 
door rehte hai.isliye in beejon ko phenkne ke bajaye inka sewan Karein.

0 comments:

Post a Comment