Sunday 18 September 2016

SHAHED AUR NEEMBU KE FAYDE IN HINDI




Wazan  Ghatane Me Faydemand 
Gungune paani ke sath shahed aur neembu ko peene se bhook kam lagti hai. isme kafi matra me fibre maujood hota hai jo bhook ko kam karke energy deta hai. is tarah se niyamit roop se subah ise lene se din bhar me jo aap bhojan lene wale ho wo kam hogi aur apka wazan kam ho jayega.





Skin  Ke Liye Faydemand
Skin ke liye neembu ke bahut se fayde hai isme maujood cleansing skin ko saaf karne me madad karta hai. Nayi blood cells ke utpadan me madad karta hai. paani aur shehed ka mixture apki tavcha ke liye faydemand bhi hai. isme jeevanrodhi aur collagen badhane wale gun bhi hote hai.





Digestion Me Fayda
Achchhe digestion ke liye subah gungune paani me shahed aur neembu mila kar peena chahiye. yeh pait ko saaf karne me madad karta hai. neembu me maujood acid apke pachan tantra me madad karta hai. shahed ek antibacterial ke roop me kaam karta hai aur shareer me maujood kisi bhi tarah ke sankramad ko rokne me madad karta hai. 

0 comments:

Post a Comment