Monday, 3 October 2016

ADRAK KI CHAI PEENE KE FAYDE ( BENEFIT OF GINGER TEA ) IN HINDI

BP Me Fayda
Ayurved me adrak ko kai tarah ki bimariyon ko theek karne ki dawa ke roop me jana jata hai. Adrak ki chai me jo vitamin, minerals aur amino acid blood circulation ko theek rakhne me madad karta hai. adrak ki chai peene se artery par fat bhi kam jama hota hai. isse dil ka daura padne ka khatra bhi kam hota hai.




Digestion Theek Rehta Hai
Adrak ki chai khane ko digest ya digestion kamjor hone par fayda 
karti hai. adrak me jalan ko kam karne wale gun paye jate hai jisse 
seene me jalan, pet ki bimariyon me fayda hota hai.




Thakavat Ko Door Karti Hai
Adrak ki chai aapko taro taza feel karati hai. adrak ki chai body me 
enrgy deti hai. subah me adrak ki chai peene se apne ko active mehsoos 
karne lagte hai.




Pit Door Karti Hai
Adrak ki chai peene se pit aur cough jaise rog door hote hai aur inki wajah 
se hone wali samasyaon ko bhi theek karti hai.




Bhook Badati Hai
Adrak ki chai jin logo ko bhook nahi lagti hai unko fayda karti hai. wo agar 
daily adrak wali chai ko piye jisse bhook lagna shru ho jati hai.




Vomating Ko Rokti Hai
Adrak ki chai peene se motion sickness se hone wali vomating nahi hoti. isliye 
safar me jane se pehle ek cup adrak  ki chai piyen.vomating hone par bhi adrak 
ki chai peene se aaram milta hai. adrak ki chai sardi jukam me bahut fayda 
karti hai. is chai me anti-oxidants body se fat ko kam karne me fayda karti hai. 



0 comments:

Post a Comment