Monday, 31 October 2016

DOODH ZYADA PEENE KE NUKSAN IN HINDI

Energy 
Jyada dairy product khane shareer me nuksan bhi hota hai. 
Dairy products me triptofen hota hai. jisse badan me thakan 
lagti hai. inhe jyada na khane se body ka energy level bana 
rahega.




Healthy Skin Ko Nuksan
Jyada Dairy products se pimples aur ekzima jaisi problems ho 
sakti hai inhe khana band karne se skin disease ka khatra kam 
ho jayega.




Digestion Me Problem
Doodh me natural sugar aur lactose hota hai. jo digestion dheema 
bhi karta hai.ise jyada na khane, peene se kabz, gas aur pait foolne 
jaisi pareshaniyan door ho jati hai.




Asthama Ki Shikayat
Dairy products se kuch logon ko cough ki problem ho jati hai, saans 
ki problem hone par Asthama bhi ho sakta hai agar saans ki pareshani 
ho to ise avoid kren.




Wazan Badata Hai
Dairy products jaise cheese, paneer khane se wazan zyada badhta hai. 
wazan kam karna hai to ise khana kam kare  ya limit me lein.




Doodh Ki Elergy
Dhoodh ki elergy hone par ultiyan aur pait ki beemariyan ho sakti hai. 
dairy products ko is situation me avoid kren.


0 comments:

Post a Comment